fasla jab mujhe ehsas-e-thakan baKHshega
panw ko phul bhi kanTon ki chubhan baKHshega
kitne suraj isi jazbe se ugae main ne
koi suraj to mere ghar ko kiran baKHshega
chahta hun ki kabhi mujh ko bhi bistar ho nasib
jaane kis rose KHuda mujh ko badan baKHshega
log kahte hain ki sahra ko gulistan kah do
us ke badle mein wo chandi ke saman baKHshega
be-libasi ka karen bhi to gila kis se karen
zinda lashon ko yahan kaun kafan baKHshega
sirf do-chaar daraKHton pe qanaat kaisi
wo saKHi hai to mujhe sara chaman baKHshega
chhin kar mujh se wo lamhon ki latafat 'azar'
zehn-e-asuda ko sadiyon ki thakan baKHshega

Ghazal
Fasla jab mujhe ehsas-e-thakan baKHshega
Mushtaq Aazar Fareedi