fasla dair-o-haram ke darmiyan rah jaega
chaak sil jaenge ye zaKHm-e-nihan rah jaega
hath se apne to dho lega lahu ke dagh tu
dewta ka pak daman KHun-fishan rah jaega
chand thoDi der mein chal dega apne raste
phir sitaron ke sahaare aasman rah jaega
jaane wale ko mayassar ho gai gham se najat
gham to us ke ho rahenge jo yahan rah jaega
rakh se meri chita ki us ki aankhon mein 'KHayal'
aur ye do chaar din shor-e-fughan rah jaega

Ghazal
Fasla dair-o-haram ke darmiyan rah jaega
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027