ezar-e-yar pe zulf-e-siyah-fam nahin
magar ye hashr ka din hai ki jis ki sham nahin
firaq-e-yar mein dono se hum ko kaam nahin
hawas sahar ki nahin aarzu-e-sham nahin
wila-e-kaba-e-abru se munh ko kya pherun
namaz KHatm na ho jab talak salam nahin
ye saif aap ki misl-e-pari-sahi-qad hai
magar ye aib hai chalti nahin KHiram nahin
kaho na sarw ko ek zar-KHarid hi apna
kiya jo bande ko aazad phir ghulam nahin
nahin iada-e-taat ko peshwa darkar
qaza namaz ko kuchh hajat-e-imam nahin
kisi tarah shab-e-furqat basar nahin hoti
kuchh is ko gardish-e-ayyam se bhi kaam nahin
jo us ne baat na ki ho gaya mujhe isbaat
dahan wo tang hai gunjaish-e-kalam nahin
bujhi hai aab se kya teri tegh-e-tez ki aanch
ki KHunfishan mere dil ka kabab-e-KHam nahin
phiri hai furqat-e-jaanan mein chashm-e-duKHtar-e-raz
ye gardish aankh ki saqi hai daur-e-jam nahin
na dekha naqsh qadam ka sada-e-pa na suni
samand-e-umr sa koi subuk KHiram nahin
barahna rahti hai shamshir-e-abru-e-qatil
misal-e-tegh-e-ajal hajat-e-niyam nahin
bandhen wo hath hina se kiya hai jin se shahid
kuchh aur yar se manzur intiqam nahin
na dagh do shab-e-furqat ka din ko nam na lo
abhi charagh na raushan karo ki sham nahin
jigar se sine se dil se guzar gai dam mein
teri tarah teri talwar ko qayam nahin
sitara-e-falak-e-husn kahiye kam-sin hai
abhi wo chand ka TukDa mah-e-tamam nahin
phire talab mein jo duniya ki wo nahin din-dar
misal-e-dana jo gardish mein hai imam nahin
na KHatt-e-mushaf-e-ariz ka mo'taqid ho 'wazir'
huruf jis mein hon allah ka kalam nahin
Ghazal
Ezar-e-yar pe zulf-e-siyah-fam nahin
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi