etakaf mein zahid munh chhupae baiTha hai
ghaaliban zamane se mat khae baiTha hai
wae-ashiq-e-nadan kaenat ye teri
ek shikasta shishe ko dil banae baiTha hai
taliban-e-did un ke dhup dhup phirte hain
ghair un ke kuche mein sae sae baiTha hai
is taraf bhi ai sahab iltifat-e-yak-mizhgan
ek gharib mahfil mein sar jhukae baiTha hai
dur-bash ai gulchin wa hai dida-e-nargis
aaj har gul-e-nazuk KHar khae baiTha hai
kyun suna nahin deta faisla muqaddar ka
nama-bar mere aage KHat chhupae baiTha hai
subh ki hawa un se sirf itna kah dena
koi shama ki ab tak lau baDhae baiTha hai
Ghazal
Etakaf mein zahid munh chhupae baiTha hai
Kaif Bhopali