ek zahrili rifaqat ke siwa hai aur kya
tere mere bich wahshat ke siwa hai aur kya
ab na hai wo narm lahja aur na hain wo qahqahe
tera milna ek aziyyat ke siwa hai aur kya
zom tha mujh ko bhi teri chahaton ka lekin ab
mere chehre par nidamat ke siwa hai aur kya
ek zahr-amez chup hai aur aankhon mein jalan
tere dil mein ab kudurat ke siwa hai aur kya
zaKHm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar
pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya
Ghazal
Ek zahrili rifaqat ke siwa hai aur kya
Irfan Ahmad