ek to qayamat hai is makan ki tanhai
us pe mar Dalegi mujh ko jaan ki tanhai
tum ne to sitaron ko dur hi se dekha hai
tum samajh na paoge aasman ki tanhai
wo udhar akela tha hum idhar akele the
raste mein hail thi darmiyan ki tanhai
phir wahi charaghon ka rafta rafta bujh jaana
phir wahi sukut-e-shab phir wo jaan ki tanhai
dasht mein bhi kuchh din tak wahshaten to hoti hain
ras aane lagti hai phir wahan ki tanhai
koi bhi yaqin dil ko 'shad' kar nahin sakta
ruh mein utar jae jab guman ki tanhai
Ghazal
Ek to qayamat hai is makan ki tanhai
Khushbir Singh Shaad