ek taswir jo kamre mein lagai hui hai
ghar ki TuTi hui diwar chhupai hui hai
qabr pe dip na rakh nam ka katba na laga
hum ne mushkil se ye tanhai kamai hui hai
taKHt aur taj to juton mein paDe rahte hain
wo gadai tere darwesh ne pai hui hai
Dhol ka shor-e-qayamat hai ki teri baraat
dusre ganw se ganw mein aai hui hai
aankh par shisha lagaya hai ki mahfuz rahe
teri taswir jo pani mein banai hui hai

Ghazal
Ek taswir jo kamre mein lagai hui hai
Rashid Ameen