ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho
hath bandhe hon sine par dil baiat se inkari ho
jashn-e-zafar ek aur safar ki saat ka dibacha hai
KHema-e-shab mein raqs bhi ho aur kuch ki bhi tayyari ho
is se kam par ram-KHurdun ka kaun taaqub karta hai
ya banu-e-ku-e-awadh ho ya aahu-e-tatari ho
daim hai sultani hum shahzadon KHak-nihadon ki
barq-o-sharar ki masnad ho ya taKHt-e-baad-e-bahaari ho
hum to raat ka matlab samjhen KHwab, sitare, chand, charagh
aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho
Ghazal
Ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho
Irfan Siddiqi