ek suraKH sa kashti mein hua chahta hai
sab asasa mera pani mein baha chahta hai
mujh ko bikhraya gaya aur sameTa bhi gaya
jaane ab kya meri miTTi se KHuda chahta hai
Tahniyan KHushk huin jhaD gae patte sare
phir bhi suraj mere paude ka bhala chahta hai
TuT jata hun main har roz marammat kar ke
aur ghar hai ki mere sar pe gira chahta hai
sirf main hi nahin sab Darte hain tanhai se
tirgi raushni virana sada chahta hai
din safar kar chuka ab raat ki bari hai 'shakil'
nind aane ko hai darwaza laga chahta hai

Ghazal
Ek suraKH sa kashti mein hua chahta hai
Shakeel Azmi