ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai
phir wahi subh aaegi phir wahi sham aa gai
mere lahu mein jal uThe utne hi taza-dam charagh
waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai
main bhi ba-pas-e-dostan apne KHilaf ho gaya
ab yahi rasm-e-dosti mujh ko bhi ras aa gai
tund hawa ke jashn mein log gae to the magar
tan se koi qaba chhini sar se koi rida gai
dil-zadagan ke qafile dur nikal chuke tamam
un ki talash mein nigah ab jo gai to kya gai
aaKHir-e-shab ki dastan aur karen bhi kya bayan
ek hi aah-e-sard thi sare diye bujha gai
Ghazal
Ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai
Pirzada Qasim