ek se rabt ek se hai bigaD
rose hai wan yahi ukhaD-pachhaD
ab wo dil mein kabhi nahin aate
muddaton se ye ghar paDa hai ujaD
kyun hai bekar mausam-e-gul mein
jeb kar chaak aur gareban phaD
kar-e-ashiq jo ho nigah mein durust
kahiye kya aap ka hai is mein bigaD
kahte ho ghair jae to aaun
KHub rakkhi hai aap ne ye aaD
sang-dil rakh-rakhao dil ka rakh
kahin is shishe mein na aae daraD
ghair jae to kaam kyun na bane
dur chhati se ho kahin ye phaD
qad ko un ke kaha tha sarw to wo
pichhe lipTe hain mere ho kar jhaD
ishq se rah alag jahan tak ho
kahin sar par na aa paDe ye phaD
qatl to kar chuke na ho badnam
mere lashe ko do zamin mein gaD
us ka chhaya hua hai abr-e-sitam
kyun na tiron ki mujh pe ho bauchhaD
koi mehman taza warid hai
band rahte hain raat din jo kiwaD
wo tafang-e-mizha hain saf-ara
tum pe 'majruh' chal na jae baD
Ghazal
Ek se rabt ek se hai bigaD
Meer Mehdi Majrooh