ek raste ki kahani jo suni pani se
hum bhi is bar nahin bhage pareshani se
meri be-jaan si aankhon se Dhalakte aansu
aaina dekh raha hai baDi hairani se
mere andar the hazaron hi akele mujh se
main ne ek bhiD nikali isi virani se
mat khae hue tum baiThe ho danai se
jit hum le ke chale aae hain nadani se
warna miTTi ke ghaDe jaise badan hain sare
marke sar hue sab jurat-e-imani se
aaina chupke se manzar wo chura leta hai
tu sajata hai badan jab kabhi uryani se
Ghazal
Ek raste ki kahani jo suni pani se
Sarfraz Nawaz