ek pal ja na kahun nain sun ai nur-e-basar 
Tuk na ho is dil-e-tarik sun ai badr badar 
teri is subh bina gosh-o-KHat-e-mushkin sun 
sair karta hun ajab sham-o-sahar sham-o-sahar 
jal ke main surma hua balki hua kajal bhi 
KHana-e-chashm mein tujh paun jo Tuk rah magar 
rah-daran lewen har gam mein jiw ka hasil 
haiga is rah mein ai umr-e-abad jaan ka KHatar 
qible sun munh phiraya tere mukh ki jaanib 
kiya zahid ne make sun su-e-but-KHana safar 
chand suraj ki rakh ainak kun sada pir-e-falak 
KHam ho karta hai nazar taki dekhe teri kamar
        Ghazal
Ek pal ja na kahun nain sun ai nur-e-basar
Faez Dehlvi

