ek muddat se nahin dekhi hai ghar ki surat
gardishen aaj bhi lipTi hain safar ki surat
qafas-e-jaan mein na rauzan hai na dar ki surat
kaise dekhun main yahan shams-o-qamar ki surat
ab yahi jang ka unwan bhi ho sakta hai
us ne patthar koi phenka hai KHabar ki surat
man ki aaghosh se paiwand-e-zamin hone tak
aaine hum ne tarashe hain safar ki surat
makaDiyan apne hi jalon mein phansi baiThi hain
abhi kal tak to na thi ye mere ghar ki surat
rose aKHbar uThate hain yahi soch ke hum
koi muzhda nazar aae to KHabar ki surat
hum 'ziya' sar ko bachaen to bachaen kaise
us ka har war numayan hai hunar ki surat
Ghazal
Ek muddat se nahin dekhi hai ghar ki surat
Zia Faruqi