ek muddat hui ghar se nikle hue
apne mahaul mein KHud ko dekhe hue
ek din hum achanak baDe ho gae
khel mein dauD kar us ko chhute hue
sab guzarte rahe saf-ba-saf pas se
mere sine pe ek phul rakhte hue
jaise ye mez miTTi ka hathi ye phul
ek kone mein hum bhi hain rakkhe hue
sharm to aai lekin KHushi bhi hui
apna dukh us ke chehre pe paDhte hue
bas bahut ho chuka aaine se gila
dekh lega koi KHud se milte hue
zindagi bhar rahe hain andhere mein hum
raushni se pareshan hote hue
Ghazal
Ek muddat hui ghar se nikle hue
Shariq Kaifi