ek manzil hai ek jada hai
zindagi meri kitni sada hai
tu mujhe apna ek pal dega
ye karam mujh pe kuchh ziyaada hai
jo ruke hain sawar hain sare
chalne wala to pa-pyaada hai
sidq-e-dil se pukarna mujh ko
lauT aaunga mera wada hai
phir jo karne laga hai tu wada
kya mukarne ka phir irada hai
zarf-e-duniya jo tang hai 'taimur'
tera dil bhi kahan kushada hai

Ghazal
Ek manzil hai ek jada hai
Taimur Hasan