ek majzub udasi mere andar gum hai
is samundar mein koi aur samundar gum hai
bebasi kaisa parinda hai tumhein kya malum
use malum hai jo mere barabar gum hai
charKH-e-sau rang ko fursat ho to DhunDe us ko
nil-gun soch mein jo mast qalandar gum hai
dhup chhanw ka koi khel hai binai bhi
aankh ko DhunD ke laya hun to manzar gum hai
sang-rezon mein mahakta hai koi surKH gulab
wo jo mathe pe laga tha wahi patthar gum hai
ek madfun dafina inhin atraf mein tha
KHak uDti hai yahan aur wo gauhar gum hai
Ghazal
Ek majzub udasi mere andar gum hai
Rafi Raza