ek main bhi hun kulah-daron ke bich
'mir' sahab ke parastaron ke bich
raushni aadhi idhar aadhi udhar
ek diya rakkha hai diwaron ke bich
main akeli aankh tha kya dekhta
aaina-KHane the nazzaron ke bich
hai yaqin mujh ko ki sayyare pe hun
aadmi rahte hain sayyaron ke bich
kha gaya insan ko aashob-e-maash
aa gae hain shahr bazaron ke bich
main faqir ibn-e-faqir ibn-e-faqir
aur askandar hun sardaron ke bich
apni virani ke gauhar rolta
raqs mein hun aur bazaron ke bich
koi us kafir ko us lamhe sune
guftugu karta hai jab yaron ke bich
ahl-e-dil ke darmiyan the 'mir' tum
ab suKHan hai shoabada-karon ke bich
aankh wale ko nazar aae 'alim'
ek mohammad-mustafa saron ke bich
Ghazal
Ek main bhi hun kulah-daron ke bich
Obaidullah Aleem