ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti
dil ke bujhne se duniya tarik nahin hoti
jaise apne hath uTha kar ghaTa ko chhu lunga
lagta hai ye zulf magar nazdik nahin hoti
tera badan talwar sahi kis ko hai jaan aziz
ab aisi bhi dhaar us ki barik nahin hoti
sher to mujh se teri aankhen kahla leti hain
chup rahta hun main jab tak tahrik nahin hoti
dil ko sambhaale hansta bolta rahta hun lekin
sach puchho to 'zeb' tabiat Thik nahin hoti
Ghazal
Ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti
Zeb Ghauri