ek jhonka is tarah zanjir-e-dar khaDka gaya
main ye samjha bhulne wale ko main yaad aa gaya
umr bhar ki baat bigDi ek zara si baat mein
ek lamha zindagi bhar ki kamai kha gaya
ai zamin tujh ko mohabbat se basane ke liye
aasmanon ki bulandi se mujhe phenka gaya
inqilab-e-dahr bar-haq lekin aisa inqalab
wo kahin pae gae aur main kahin paya gaya
aaina dikhlane aae the pareshani ke din
tha mera chehra magar mujh se na pahchana gaya
aap ne apni zaban se jis ko apna kah diya
wo diwana har jagah khoya hua paya gaya
KHairiyat kya puchhte ho gesu-e-haalat ki
waqt hi uljha gaya tha waqt hi suljha gaya
us taraf jate hue ab dil dahalta hai 'nazir'
zindagi mein jis taraf se bar-ha aaya gaya
Ghazal
Ek jhonka is tarah zanjir-e-dar khaDka gaya
Nazeer Banarasi