ek jalwa ek naghma ek paimana abhi
zindagi ka ham-nashin mat chheD afsana abhi
lazzat-e-sahba se hun saqi-e-begana abhi
ho raha hai band kyun hasti ka mai-KHana abhi
hairat-e-jalwa meri aankhon ka parda ban gai
hun sar-e-manzil magar manzil se begana abhi
dekh to pi kar zara si aaj sahba-e-KHudi
dekh banta hai jahan ek aaina-KHana abhi
khul gaya gar mai-kashon par dard-e-sahba ka bharam
gunj uTThega nawa-e-gham se mai-KHana abhi
sun rahe hain qissa-e-adam azal se hum magar
hai wahi kaifiyyat-e-aghaz-e-afsana abhi
kasa-e-dil ko mujalla aur kar lun to chalun
darKHur-e-husn-e-azal kab hai ye nazrana abhi
gesu-e-kaunanin to minnat-kash-e-shana nahin
han magar uljha hua hai zehn-e-farzana abhi
jis qadar pita gaya main tishnagi baDhti gai
bas yahi thi aarzu aur ek paimana abhi
sidq-e-dil se saqi-e-fitrat ko ek aawaz de
dekh aata hai tere hathon mein paimana abhi
fursat-e-nazzara kab hasil hui 'farhat' mujhe
hun asir-e-kar-gah-e-husn-e-jaanana abhi

Ghazal
Ek jalwa ek naghma ek paimana abhi
Prem Shankar Goila Farhat