ek ek qatra joD kar rakkha
KHun sara nichoD kar rakkha
rang to aur bhi the jiwan mein
kyun udasi ko oDh kar rakkha
kyunki aaina sach bata dega
is liye us ko toD kar rakkha
jo bhi lamhe tumhaare sath kaTe
main ne un sab ko joD kar rakkha
wo waraq jis mein tera nam aaya
main ne un sab ko moD kar rakkha
KHud pe jab bhi kiya yaqin main ne
ruKH hawaon ka moD kar rakkha

Ghazal
Ek ek qatra joD kar rakkha
Sonroopa Vishal