ek ek mauj ko sone ki qaba deti hai
sham suraj ko samundar mein chhupa deti hai
ek chehra mujhe rozana sukun deta hai
ek taswir mujhe roz rula deti hai
aib shohrat mein nahin is ka nasha qatil hai
ye hawa kitne charaghon ko bujha deti hai
log aate hain Thaharte hain guzar jate hain
ye zamin KHud hi guzargah bana deti hai
kisi chehre mein nazar aata hai koi chehra
koi surat kisi surat ka pata deti hai
nil mein rasta banna to hai dushwar magar
meri ghairat mere hathon mein asa deti hai
Ghazal
Ek ek mauj ko sone ki qaba deti hai
Shahid Latif