ek ek kar ke sabhi log bichhaD jate hain
dil ke jangal yunhi baste hain ujaD jate hain
kaise KHush-rang hun KHush-zaeqa phal hun lekin
waqt par chakkhe nahin jaen to saD jate hain
apne lafzon ke tassur ka zara dhyan rahe
hakim-e-shahr kabhi log bhi uD jate hain
ret tariKH ke sine mein haTate hain wahi
aable pyasi zabanon mein jo paD jate hain
aise kuchh hath bhi hote hain ki jin ke kangan
toDne wale ke ehsas mein gaD jate hain
'shabnam' andaz-e-takallum mein kashish lazim hai
warna alfaz simaTte hain sikaD jate hain

Ghazal
Ek ek kar ke sabhi log bichhaD jate hain
Rafia Shabnam Abidi