اردو हिंदी
Ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai | Shaahi Shayari
ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai

Ghazal

Ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai

Irfan Sattar

;

ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai
ek tabiat hai ki aazar-e-hunar khinchti hai

ek jaanib liye jati hai qanaat mujh ko
ek jaanib hawas-e-luqma-e-tar khinchti hai

hijr ka aish kahan hai meri qismat mein ki ab
zindagi ranj ba-andaz-e-digar khinchti hai

ek manzil hai jo imkan se bahar hai kahin
ek masafat hai ki bas gard-e-safar khinchti hai

ek taraf dil ka ye israr ki KHalwat KHalwat
ek taraf KHwahish-e-taskin-e-nazar khinchti hai