ek diye ne sadiyon kya kya dekha hai batlae kaun
chhoDo agle waqton ke qisse phir se dohrae kaun
ab bhi khaDi hai soch mein Dubi ujyalon ka dan liye
aaj bhi rekha par hai rawan sita ko samjhae kaun
apna apna aasan chhoD ke har murat uTh aai hai
sone ki diwaron mein rah kar pathar kahlae kaun
jis ne diye ki kalak ko bhi mathe ka sindur kiya
apne ghar ki us diwar se apna bhed chhupae kaun
jaane kitne raaz khulen jis din chehron ki rakh dhule
lekin sadhu-santon ko dukh de kar pap kamae kaun
ek naya sapna banta hai aur ban kar is soch mein hai
sadiyon se aapas mein uljhe dhagon ko suljhae kaun
ab bhi buzurgon ki baaten sun kar achchha to lagta hai
par in girti diwaron se apni piTh lagae kaun
Ghazal
Ek diye ne sadiyon kya kya dekha hai batlae kaun
Aziz Bano Darab Wafa