ek bhi qatra na chhoDa kijiye
dil mera jab bhi nichoDa kijiye
aap hi ke nam se pahchan ho
nam mera sath joDa kijiye
sidhe sidhe chal ke kya hasil hua
zindagi muDti hai moDa kijiye
sirf duniya par hi sari tohmaten
KHud ko bhi aaKHir jhinjhoDa kijiye
lene wale to sabhi kuchh le gae
aap bhi ehsan thoDa kijiye
aap ko ye haq mohabbat mein diya
dil hai mera KHub toDa kijiye
main 'musafir' hun mujhe chalna hi hai
ba-adab chhaale na phoDa kijiye
Ghazal
Ek bhi qatra na chhoDa kijiye
Vilas Pandit Musafir