اردو हिंदी
Ek be-manzar udasi chaar-su aankhon mein hai | Shaahi Shayari
ek be-manzar udasi chaar-su aankhon mein hai

Ghazal

Ek be-manzar udasi chaar-su aankhon mein hai

Siddique Mujibi

;

ek be-manzar udasi chaar-su aankhon mein hai
jitna baqi hai mere dil ka lahu aankhon mein hai

jism-o-jaan pamal-e-sadmat-e-taghaful ho chuke
ab to jo hai mawara-e-guftugu aankhon mein hai

KHatm hota hi nahin bedar lamhon ka azab
nind jaise koi zaKHm-e-be-rafu aankhon mein hai

tishnagi ka ek parinda chiKHta hai zehn mein
qarya-e-jaan ki ye kaisi aab-ju aankhon mein hai

bahte ashkon par likhi tahrir raushan hai abhi
ek wada ek paikar hu-ba-hu aankhon mein hai

main bayaban ki bikharti dhup hun be-samt-o-saut
ab koi sauda hai sar mein aur na tu aankhon mein hai

kis taraf dekhun 'mujibi' kis se rishta joD lun
ru-ba-ru duniya hai phir bhi dasht-e-hu aankhon mein hai