ek ajab si duniya dekha karta tha
din mein bhi main sapna dekha karta tha
ek KHayal-abaad tha mere dil mein bhi
KHud ko main shahzada dekha karta tha
sabz pari ka uDan-khaTola har lamhe
apni jaanib aata dekha karta tha
uD jata tha rup badal kar chiDiyon ke
jangal sahra dariya dekha karta tha
hire jaisa lagta tha ek ek patthar
har miTTi mein sona dekha karta tha
koi nahin tha tishna registanon mein
har sahra mein dariya dekha karta tha
har jaanib hariyali thi KHush-haali thi
har chehre ko hansta dekha karta tha
bachpan ke din kitne achchhe hote hain
sab kuchh hi main achchha dekha karta tha
aankh khuli to sare manzar ghaeb hain
band aankhon se kya kya dekha karta tha
Ghazal
Ek ajab si duniya dekha karta tha
Alam Khursheed