اردو हिंदी
Ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa | Shaahi Shayari
ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa

Ghazal

Ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa

Bilqis Zafirul Hasan

;

ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa
kuchh nahin hone ko hai apna ye hona kaisa

KHun jamta sa rag-o-pai mein hue shal ehsas
dekhe jati hai nazar haul tamasha kaisa

regzaron mein sarabon ke siwa kya milta
ye to malum tha hai ab ye achambha kaisa

aable panw ke sab phuT bahe be-nishtar
ras aaya hamein in KHaron pe chalna kaisa

phir kabhi sochenge sach kya hai abhi to sun len
log kis kis ke liye kahte hain kaisa kaisa

sui aankhon ki bhi main ne hi nikali thi magar
dekh ke bhi mujhe us ne nahin dekha kaisa

kitni sada thi hatheli meri rangin hui
meri ungli mein utar aaya hai kanTa kaisa

aaina dekhiye 'bilqis' yahi hain kya aap
aap ne apna bana rakkha hai huliya kaisa