ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha
arbab-e-wafa mein koi itna bhi nahin tha
lab jalte hain mai-KHwaron ke sine nahin jalte
is darja KHunuk shoala-e-mina bhi nahin tha
ek us ka taghaful hai wo yaad aa hi gaya hai
ek wada-e-farda hai wo bhula bhi nahin tha
kah sakte to ahwal-e-jahan tum se hi kahte
tum se to kisi baat ka parda bhi nahin tha
ab husn pe KHud us ka tasawwur bhi giran hai
pahle to giran KHwab-e-zuleKHa bhi nahin tha
pahle meri wahshat ke ye andaz bhi kam the
pahle mujhe andaza-e-sahra bhi nahin tha
ab ye hai ki thamta hua dariya hai teri yaad
be-faiz ye dariya kabhi aisa bhi nahin tha
achchha to murawwat hi tera bosa-e-lab hai
achchha ye koi dil ka taqaza bhi nahin tha
majnun ke siwa kis se uThi minnat-e-didar
aaKHir ruKH-e-laila tha tamasha bhi nahin tha
Ghazal
Ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha
Aziz Hamid Madni