ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo
ab bund bund mujh mein bikharne laga hai wo
gumnamiyon ki andhi guphaen hon nauha-KHwan
manind-e-aftab ubharne laga hai wo
kaise kahun ki gham hua KHwabon ki bhiD mein
zaKHmon ka indimal to karne laga hai wo
ek harf-e-atishin bhi nahin us ke honT par
lagta hai lahza lahza ThiThurne laga hai wo
imkan ki hadon se guzarne ke baad kyun
ab reza reza ho ke bikharne laga hai wo
utra tha meri ruh ke rauzan se jo kabhi
ghuT ghuT ke mere jism mein marne laga hai wo
Ghazal
Ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo
Anwar Minai