ehsas-e-ziyan chain se sone nahin deta
rona bhi agar chahun to rone nahin deta
sahil ki nigahon mein koi dard hai aisa
maujon ko meri naw Dubone nahin deta
kya jaaniye kis baat pe dushman hua mausam
sarsabz kisi shaKH ko hone nahin deta
larzan hai kisi KHauf se jo sham ka chehra
aankhon mein koi KHwab pirone nahin deta
ek zahr sulagta hai rag-e-jaan mein jo 'fikri'
ek pal bhi teri yaad mein khone nahin deta
Ghazal
Ehsas-e-ziyan chain se sone nahin deta
Parkash Fikri