wo kahan waqt ki moDenge inan aur taraf
dil kisi aur taraf hai to zaban aur taraf
hain abhi ahl-e-hawas sud-o-ziyan ke hi asir
pherte hain yunhi baaton se guman aur taraf
aah-e-sozan ko meri dekh na dekha hoga
ki hawa aur taraf ki ho dhuan aur taraf
ruKH raha ta-ba-sahar aur hi jaanib apna
aur tha matla-e-anwar-fashan aur taraf
baiTh kar ru-ba-qaza KHush hain ki goya hum ne
moD Dali hai zamane ki inan aur taraf
yun palaT jati hain har lahza wo nazren jaise
joD kar tir ko khinchti hai kaman aur taraf
chahiye bagh ko bas ek lahu ka chhinTa
aan ki aan mein jati hai KHizan aur taraf
Ghazal
Wo kahan waqt ki moDenge inan aur taraf
Shaanul Haq Haqqi

