dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar
sadiyon soi KHamushi ko samne aa kar pukar
jaane kin hathon ne khela raat sahil par shikar
sher ki aawaz ko tarsa kiye sune kachhaar
KHwab ke sukhe hue KHakon mein lazzat ka ghubar
nind ke dimak-zada gatte ke pichhe intizar
tirgi kaise miTegi teri nusrat ke baghair
aasman ki siDhiyon se nuqrai faujen utar
aaKHir-e-shab sab sitare so rahe hain be-KHabar
koi suraj ko KHabar kar do ki ab shab-KHun mar
phailta jata hai kirnon ka sunahri jal phir
jagmaga uTThi hain shamshiren qatar-andar-qatar
jaane kis ko DhunDne daKHil hua hai jism mein
haDDiyon mein rasta karta hua pila buKHar
jism ki miTTi na le jae baha kar sath mein
dil ki gahrai mein girta KHwahishon ka aabshaar
Ghazal
Dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar
Adil Mansuri