dur tak suni paDi hai rahguzar dekhega kaun
apni manzil hi nahin to rahbar dekhega kaun
chandni ki bad-dua apna asar dikhla gai
kis qadar tarikiyan hain chand par dekhega kaun
jagti aankhon pe aaKHir nind ghaalib aa gai
ab tumhaara rasta bhi raat-bhar dekhega kaun
apne ghar ka saz-o-saman hum ne girwi rakh diya
hanste hanste zahar pine ka hunar dekhega kaun
jaan ka KHatra to hai hi jal bhi kamzor hai
machhliyon ke shauq mein pani magar dekhega kaun
ab ghazal ke nam par 'faruq' kuchh bhi pesh kar
log sab masruf hain zer-o-zabar dekhega kaun

Ghazal
Dur tak suni paDi hai rahguzar dekhega kaun
Farooq rahman