dur tak phaili hui hai tirgi baaten karo
Das na le hum ko kahin ye KHamushi baaten karo
aao palkon se chunen bikhre hue lamhat ko
nind aa jae na jab tak KHwab ki baaten karo
bas yahi lamhe ghanimat hain ki hum tum sath hain
kaun jaane mil bhi paen phir kabhi baaten karo
sirf ek karb-e-musalsal hi nahin hai zindagi
muKHtasar waqfe ki surat hai KHushi baaten karo
ruh ke nasur to riste rahenge umr bhar
dard mein aa jae shayad kuchh kami baaten karo
kaun jaane kal ka suraj dekh bhi paenge hum
jab talak hai raat baqi bas yunhi baaten karo
is qadar KHamosh rahna bhi nahin achchha 'rawish'
chha na jae zehn par afsurdagi baaten karo
Ghazal
Dur tak phaili hui hai tirgi baaten karo
Shamim Ravish