اردو हिंदी
Dur tak dasht mein ujala hai | Shaahi Shayari
dur tak dasht mein ujala hai

Ghazal

Dur tak dasht mein ujala hai

Rafique Khayal

;

dur tak dasht mein ujala hai
jaane kis qahr ka hawala hai

phir ugalne lagi hai aag zamin
phir koi qatl hone wala hai

shahr-e-KHush-baKHt ka makin hun magar
gird mere ghamon ka haala hai

dil ne gham ka alaw lafzon mein
kis mahaarat se aaj Dhaala hai

jurm sarzad hua tha aadam se
mujh ko jannat se kyun nikala hai

teri ek aarzu ne logon ko
kis qadar uljhanon mein Dala hai

ek saza-yafta-e-ishq ne aaj
mansab-e-ishq phir sambhaala hai

phir 'KHayal'-e-sitam-zada mein koi
KHushbu-angez misl-e-lala hai