اردو हिंदी
Dur se aankhen dikhati hai nai duniya mujhe | Shaahi Shayari
dur se aankhen dikhati hai nai duniya mujhe

Ghazal

Dur se aankhen dikhati hai nai duniya mujhe

Hafeez Jalandhari

;

dur se aankhen dikhati hai nai duniya mujhe
gulshan-e-hasti nazar aata hai ek sahra mujhe

aql ki wadi mein hun gum-karda-e-maqsud-e-ishq
DhunDhta hun aur nahin milta koi rasta mujhe

ye bhi ek dhoka tha nairang-e-tilism-e-aql ka
apni hasti par bhi hasti ka hua dhoka mujhe

shauq mera talib-e-didar ho jata agar
dekhta 'musa' mujhe sina mujhe jalwa mujhe

shaeri kya kafsh-e-bardar-e-girami hun 'hafiz'
be-kamali ke siwa koi nahin dawa mujhe