dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai
aankh kya shai hai kahan ja ke nazar rakhti hai
aur kuchh roz abhi sur na phunka jae
us ke darbar mein duniya abhi sar rakhti hai
log manzil pe bahut KHush hain magar manzil bhi
lamha lamha pas-e-imkan-e-safar rakhti hai
aao us shaKHs ki rudad sunen ghaur karen
surKH-rui bhi jise KHak-basar rakhti hai
ye zehanat jo wirasat ki ata hai 'shahid'
koi diwar uThati hai to dar rakhti hai
Ghazal
Dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai
Shahid Latif