dud-e-dil se hai ye tariki mere gham-KHana mein
shama hai ek sozan-e-gum-gashta is kashana mein
main hun wo KHisht-e-kuhan muddat se is virane mein
barson masjid mein raha barson raha mai-KHana mein
main wo kaifi hun ki pani ho to ban jae sharab
josh-e-kaifiyyat se meri KHak ke paimana mein
barq-e-KHirman-soz danai hai na-fahmi teri
warna kya kya lahlahate khet hain har dana mein
kis nazakat se hai dekho ittihad-e-husn-o-ishq
zulf wan shane ne khinchi dard hai yan shana mein
wahshat o na-ashnai masti o beganagi
ya teri aankhon mein dekhi ya tere diwana mein
ishq ko nashw-o-numa manzur hai kab warna sabz
tuKHm-e-ashk-e-shama ho KHakistar-e-parwana mein
hosh ka dawa hai behoshon ko zer-e-asman
KHum-nashin misl-e-falatun sab hain is KHum-KHana mein
pattharon mein Thokaren khata hai nahaq sail-e-ab
puchho kya le jaega aa kar mere gham-KHana mein
ek patthar pujne ko shaiKH-ji kabe gae
'zauq' har but qabil-e-bosa hai is but-KHana mein
Ghazal
Dud-e-dil se hai ye tariki mere gham-KHana mein
Sheikh Ibrahim Zauq