Dubne walo hawaon ka hunar kaisa laga
ye kinara ye samundar ye bhanwar kaisa laga
ponchhte jaiye daman se lahu mathe ka
sochte jaiye diwar ko sar kaisa laga
haT gai chhanw magar log wahin baiThe hain
dasht ki dhup mein jaane wo shajar kaisa laga
dar-o-diwar hain main hun meri tanhai hai
chandni raat se puchho mera ghar kaisa laga
is se pahle kabhi ponchhe the kisi ne aansu
un ka daman tujhe ai dida-e-tar kaisa laga
sahl thin marhala-e-tark-e-wafa tak rahen
is se aage koi puchhe ki safar kaisa laga
aankh se dekh liya tark-e-watan ka manzar
ghar jahan chhoD gae the wo khanDar kaisa laga
wo mujhe sun ke baDi der se chup hai 'qaisar'
jaane us ko meri ghazlon ka hunar kaisa laga
Ghazal
Dubne walo hawaon ka hunar kaisa laga
Qaisar-ul-Jafri