اردو हिंदी
Dubne wala kya na kar Dube | Shaahi Shayari
Dubne wala kya na kar Dube

Ghazal

Dubne wala kya na kar Dube

Shafaq Sopori

;

Dubne wala kya na kar Dube
hath upar kare to sar Dube

dida-o-ariz o lab-o-abru
aansuon mein sabhi nagar Dube

KHun ki sail hai bachaun kya
aankh ki sochun to jigar Dube

kis ko malum hai KHabar kis ko
aaj ki raat kis ka ghar Dube

sahilon par hai kuchh bhanwar mein kuchh
kuchh meri tarah par utar Dube