Duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi
main KHanda-zan hun khokhli danaiyon mein bhi
uryan hai sara shahr chali yun hawas ki lahar
tujh ko chhupa raha hun main tanhaiyon mein bhi
kaise the log jin ki zabanon mein nur tha
ab to tamam jhuT hai sachchaiyon mein bhi
ab nek-namiyon mein bhi koi maza nahin
pahle to ek lutf tha ruswaiyon mein bhi
wo dauD hai kisi ko kisi ki KHabar nahin
ab kitni ghairiyat hai shanasaiyon mein bhi
rangin saaton mein kahan wo malahaten
parchhaiyon ka jal hai ranaiyon mein bhi
hum jin ke waste the tamasha bane hue
dekha to wo nahin the tamashaiyon mein bhi
main hi tha wo jo apne hi teshe se mar gaya
hi hi tha shahr-e-jabr ke balwaion mein bhi
kya daur hai ki jis mein sada bhi sukut hai
tanhaiyan hain anjuman-araiyon mein bhi
wo pyar do ki jis ki chamak mand hi na ho
hota hai ye KHulus to harjaiyon mein bhi
saz o sada ke shor mein gum ho gaya 'jamil'
kis kis ke dil ka dard tha shahnaiyon mein bhi
Ghazal
Duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi
Jameel Malik