اردو हिंदी
Dushmanon ko dost bhai ko sitamgar kah diya | Shaahi Shayari
dushmanon ko dost bhai ko sitamgar kah diya

Ghazal

Dushmanon ko dost bhai ko sitamgar kah diya

Laiq Aajiz

;

dushmanon ko dost bhai ko sitamgar kah diya
log kyun barham hain kya shishe ko patthar kah diya

is liye mujh ko amir-e-shahr ne di hai saza
main ne KHud ko KHadim-e-sibt-e-payambar kah diya

chaDhte suraj ki parastish mein sabhi masruf the
mujh se jab puchha gaya allahu-akbar kah diya

kitne sada-lauh hain ye sab safiran-e-junun
rahzan bhi mil gaya to us ko rahbar kah diya

ho gaya dushman bhi mere hausle ka mo'tarif
mujh ko dariya-e-hawadis ka shanawar kah diya

sher kahne mein mujhe 'ajiz' maza aane laga
us ne jab be-saKHta mujh ko suKHan-war kah diya