اردو हिंदी
Dushmani mein hi sahi wo ye karam karta raha | Shaahi Shayari
dushmani mein hi sahi wo ye karam karta raha

Ghazal

Dushmani mein hi sahi wo ye karam karta raha

Subhash Pathak Ziya

;

dushmani mein hi sahi wo ye karam karta raha
aaina mujh ko dikha kar aib kam karta raha

wo taqaza-e-mohabbat tha to main ne uf na ki
phir to zalim umr bhar dil pe sitam karta raha

KHairiyat hi puchhne aaega tu ye soch kar
mera dil bimar KHud ko ai sanam karta raha

dushmanon ki dushmani bhi us ke aage kuchh nahin
sazishen jo har qadam par ham-qadam karta raha

laDle ne KHat ke badle paise bhijwae magar
bap milne ki tamanna dam-ba-dam karta raha

jhuT tu kar ke dikhawa ban gaya sachcha wahan
aur sach kone mein baiTha aankh nam karta raha

likh na paya ab talak tu baat dil ki ai 'ziya'
sirf in ka un ka afsana raqam karta raha