dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye
us ki kashti ko sar-e-sahil Dubona chahiye
chhin kar sari ummiden mujh se wo kahta hai ab
kisht-e-dil mein aarzu ka bij bona chahiye
is samundar ki kasafat aankh mein chubhne lagi
us ka chehra aur hi pani se dhona chahiye
saunp jaen in daraKHton ko nishani nam ki
hum kabhi the agli rut ko ilm hona chahiye
ye bhi koi tuk hui ki kuchh hua to ro paDe
shaKHsiyat ka rang 'fikri' yun na khona chahiye
Ghazal
Dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye
Parkash Fikri