اردو हिंदी
Duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi | Shaahi Shayari
duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi

Ghazal

Duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

;

duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi
lekin badalte rahte hain unwan-e-zindagi

kya kaam kar raha hai ye mehman-e-zindagi
bharta hai kyun gunah se daman-zindagi

wahshat-nasib hai sar-o-saman-zindagi
ulfat mein tar tar hai daman-zindagi

hai dekhne ki chiz bhi kuchh dekhta hai kya
sair-e-jahan hai KHwab-e-pareshan-e-zindagi

kafi hai apne waste aaraish-e-wajud
aaraishon se pak hai daman-zindagi

maujon se khelta hua bahar nikal na ja
aaKHir ye kis liye gham-e-tufan-e-zindagi

ek din hayat-o-maut ki is khinch-tan mein
hathon se chhuT jaega daman-e-zindagi

marna hi jab jahan mein hai jine ka ma-hasal
nahaq uThaen kis liye ehsan-e-zindagi

samjhe hue the hum jise aish-o-tarab ka ghar
zindan-e-gham bana hai wo aiwan-e-zindagi

piri chalegi kya meri piri ke daur mein
aae kahan se pahli si ab shan-e-zindagi

hai fasl-e-gul ka zor bahaaron pe hai shabab
kya pur-faza hai aaj gulistan-e-zindagi

kis se wafa ki dahr mein 'KHushtar' umid hai
ahd-e-wafa se dur hai paiman-e-zindagi