duniya teri raunaq se main ab ub raha hun
tu chand mujhe kahti thi main Dub raha hun
ab koi shanasa bhi dikhai nahin deta
barson main isi shahr ka mahbub raha hun
main KHwab nahin aap ki aankhon ki tarah tha
main aap ka lahja nahin uslub raha hun
ruswai mere nam se mansub rahi hai
main KHud kahan ruswai se mansub raha hun
sachchai to ye hai ki tere qarya-e-dil mein
ek wo bhi zamana tha ki main KHub raha hun
us shahr ke patthar bhi gawahi meri denge
sahra bhi bata dega ki majzub raha hun
duniya mujhe sahil se khaDi dekh rahi hai
main ek jazire ki tarah Dub raha hun
shohrat mujhe milti hai to chup-chap khaDi rah
ruswai main tujh se bhi to mansub raha hun
phenk aae the mujh ko bhi mere bhai kuen mein
main sabr mein bhi hazrat-e-ayyub raha hun
Ghazal
Duniya teri raunaq se main ab ub raha hun
Munawwar Rana