duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein
main kyun apna chain ganwaun us pagal ke bare mein
sang-e-marmar ki qabron mein mahw-e-KHwab the hum donon
kal shab dekha KHwab ajab sa taj-mahal ke bare mein
aaKHir us ki sukhi lakDi ek chita ke kaam aai
hare-bhare qisse sunte the jis pipal ke bare mein
mere shital man ki jwala ko to aur bhi bhaDkaya
log na jaane kya kahte hain ganga-jal ke bare mein
aansu ban kar TuT gaya tha jo sapnon ki palkon se
sat yugon se soch raha hun main us pal ke bare mein
chumo ghunghaT khol ke chumo us dulhan ke honTon ko
ye apna dastur hai mai ki har botal ke bare mein
wo jo kuTiya Dal raha hai virane mein shahr se dur
sara shahr pareshan kyun hai us pagal ke bare mein
'prem' bhari mahfil mein koi dad nahin fariyaad nahin!
chup si hai wo jaan-e-ghazal bhi meri ghazal ke bare mein
Ghazal
Duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein
Prem Warbartani